Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 20 Subject: Insan, Qayyamat aor Aakhrat Related Surah: 89. Surah Fajar
- Yeh surah tab naazul hui jab Makkah k logo ne Huzur ﷺ ke khilaf khare hogaye thy aor zulm karna shru kar diya tha.
- Makkah k shehr ki qasam.
- Huzur ﷺ ki mashaqat Makkah mein.
- Tamaam insanon (baap aor olad) ki qasam.
- Qasam ki wajha: Insan mushaqat mein peda kiya gaya hai.
- Yani har insan ko mehant aor mushaqat karni parti hai.
- Wo samjhta h us par kc ka zor ni.
- Wo smjhta h usko kc n ni dekha.
- 2 aankhein ek zabat aor 2 hont di insaan ko.
- Aor hidayat 2 ghatiyon ki (neki/baddi).
- Lekin wo us ghati me na ja saka.
- Woh ghati kiya h?
- Ghulamo ko azad krana.
- Kisi bhookhy (yateem/miskeen) ko khana khilana.
- Maal ki muhabbat ki wajha se es ghati m aana muhkil h.
- Jo maal se muhabbat chhor k ooper waly kam krta h wo us ghati m dakhil hojata h.
- Phr e un logo k sath shamil howa jo iman laye, sabr aor rahm ki talqain ki.
- Yeh log As'hab-e-memana hongy (dhahne hath waly).
- Yeh khushbakht log hn. Kaamyabi paaney waly.
- Jinho ne Allah ki ayaton ko jhutlaya.
- Wo hongy As'hab-e-Mashi'ama (bahne hath waly).
- Badbakht log jin par aag bnd ki jaye gi.