Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 30 Subject: Insan, Qayyamat aor Aakhrat Related Surah: 90. Surah Balad
- Yeh surah tab naazil hui thi jab Makkah mein log Islam mein daakhil hona shru ho rahe thy.
- Tab Quresh k log un par zulm-o-sitam bharha diya tha.
- Is surah mein unko warn kiya gaya hai.
- Fajar k waqt ki (10 Dhul-Hajj ki fajar).
- 10 raton ki ( Dhul-Hajj ka pehla ashra).
- Juft ki aor taak ki (9 aor 10 Dhul-Hajj ya ramzan ka akhri ashra).
- Aor raat ki.
- Qasamo ki wajha: Aakhrat mein jaza aor saza zaroor hogi.
- Qom e Aad ki ek shaakh (ya shaahi khaandan).
- Oonchy sitoon wali qoam.
- Hazrat Hood AS ki qoam.
- Unke barabar duniya mein koi qoam ni peda ki gayi.
- Pathar ki chatano ko tarashne waly.
- Hazrat Salih AS ki qoam.
- Qom-e-Iram (Aad), Qom-e-Samood aor Firoan par Allah ki pakar.
- Yeh log duniya mein fasad peda karne waly.
- Allah sab ko nazar mein rakhy huey hain.
- Jab Allah usko inam wa ikram se nawazta hai to kehta hai Allah ne uski izzat ki hai.
- Jab usko rizq mein tangi se aazmaya jata hai to kehta hai mere parwardigar ne meri toheen ki.
- Shukar aor sabar nai krta.
- Yeh duniya mein jo kuch milta h asal m wo ek imtehan hai.
- Nematein aor tangi de kr Allah hamein aazmata hai.
- Matlb k banda apne faraiz sahi anjaam deta h k ni jese k zakat hogayi etc.
- Yateem ki izzat nai krte.
- Miskeen ko khana khilany ki targheeb nai krte.
- Meeras ka maal khaa jaty.
- Maal se buht muhabbat krte.
- Zameen ko reza reza kar dya jaye ga.
- Medan-e-Hashr m Allah ka takht laya jaye ga aor farishte qatarein bnae aayengy.
- Jahanam ko saamne laya jaye ga.
- Insan ko smajh aajaye gi us din.
- Wo hasrat mein reh jaye ga k kash kuch amaal akhrat k liye aagy bejh deta asli zindagi k liye.
- Us din sab ko maloom hojaye ga Allah ka azaab aor uska pakarna kesa h.
- Lekin uska ab koi faida ni.
- Nafs-e-Mutmainna: Yeh wo log hn jinka nafs Allah ki ata'at m chain paa chuka.
- Ense kaha jaye ga k tum log ao es trh k Allah tum se razi aor tum Allah se razi.
- Aor Allah k naik bando mein shamil hojao.
- Aor Jannat mein daakhil hojao.