Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 8 Subject: Consolation & encouragement for the Prophet ﷺ Related Surah: 93. Surah Dhuha
- Yeh surah nabuwat k shru'ati dor m nazul hui jb risalat aor tabligh ke kam ki wajha se Huzoor ﷺ kafi bojh mein aagye thy.
- Tab Allah Paak ne unky gham dor kardiye. Unko aagy ke waqt ki khushkabri suna di.
- Nubuwat k shuru'ati dor mein Nabi paak ﷺ ajeeb se kayfiyat se guzr rhe thy. Un par ek bojh tha nubuwat ki wajha se. Allah ka pegham sab logo tak pohchana tha.
- Allah Talla ne Huzoor ﷺ ka naam roshan kiya.
- Unko duniya ke har khitay mein izzat ata farmaye.
- Huzoor ﷺ ko Khushkhabri di ja rahi hai ke risalat aor tabligh ke nushkil kaam k baad ek pursakoon waqt aye ga.
- Jab mushkil gari guzar jaati to sukh ki gari bhi zaroor aati.
- Huzoor ﷺ jab risalat aor tabligh se farigh hojaye to araam se Allah ko dil khol kar yaar kar sakty.
- Farigh/fursat mein Allah ko yad krna.
- Aor Allah se dil lagana.