Classification: Makki Rukus: 1 Ayahs: 4 Subject: Touheed (Allah ki sifaat) Related Surahs: 109. Surah Kafirun, 113. Surah Falaq and 114. Surah Nas
- Kuch kaafiron ne Aap ﷺ se pooch tha ke Aap ﷺ ka Khuda kesa hai? Uska hasab nasab, taruf karaye.
- To yeh surah uske jawab me nazul hui.
- Is surah ko suls-e-Quran bhi kaha jata hai.
- Yeh Touheed ki muqamal tareef hai.
- Allah tanha hai.
- "Har lihaz se aik" hai.
- Uske na koi ajza hai na koi hissa hai.
- Na Uski siffaat kc aor m pai jati hain.
- Woh apni zaat mein b aik hai aor sifaat me b ek hai.
- Samad ka matlb wo shakhs h jis log apni mushkilat k liye ruju kre aor wo khud kc ka muhjtaj na ho.
- Allah ki zaat kc ki muhjtaj ni. Sab usi se madad maangty hn.
- Yeh un logo ki tadeed h jo logo ko Allah k bety ya batiyaan karar dete hain. Jese Hazrat Issa ya Hazrat Uzair ko Allah ka beta kehne waly log.
- Koi b ni jo kc b muamly m Allah ki brabri kr saky.
- Un logo ki tardeed jo ek se zyada khudaon k qaail hn.
- Un logo ki tardeed jo Allah ko maanne k baad b kc aor ko mushkilkusha ya karsaaz ya hajatrawa bna lete hn.
- Un logo ki tardeed jo Allah ki olad qarar de dete hn.
- Un logo ki tardeed jo Allah ki kc sifat kc aor ki brarbri karar dete hn jese Roshni ka khuda koi r h andhere ka koi r.