Skip to content

Latest commit

 

History

History
86 lines (69 loc) · 3.07 KB

01_Surah_Fatiha.md

File metadata and controls

86 lines (69 loc) · 3.07 KB

Number 01: Surah Fatiha

Surah Information

  • Classification: Makki
  • Rukus: 1
  • Ayahs: 7
  • Subject: Hamd, Touheed, Tamjeed, Ibadat, Madad, Ehd, Dua

Useful Information

  • Pehli surah
    • Fahrist ke hawale se Opening Surah hao
    • Nuzool ke hawale se bhi pehli surah.
      • Yeh pehli surah hai jo sab se pehle mukamil hui.
  • 5th Wahi according to Dr. Israr, is se pehle chand e surahs aayi thi.
    • 1st Wahi: 5 ayahs Surah Alaq ke aaghaz ki.
    • 2nd Wahi: Kuch ayaah Surah Qalam, Surha Noor k aaghaz mein.
    • 3rd Wahi: Kuch aayah surah Muzammil ki.
    • 4th Wahi: Surah Muddassir ki ibtedah ki.
  • Names:
    • Al-Shaafia, Al-Kaafia, Umm-ul-Quran, Assas-ul-Quran

Quran ka falsafa

  • Har fard wiladat par muslim hota hai.
  • Jis me aqal aor shaoor hota hota hai, us main 2 batein hoti:
      1. Ek Khaaliq.
      1. Marne ke baad zinda hona.
  • Jab koi apni aqal istemal karke is nateejy par pohcha k Khaaliq ek hai aor marne k bad hisab hoga aor Us Khuda ki e bandagi karni.
  • Tab insaan Hidayat chahta hai - ta ke sahi raaste par chal saky aor galat rasty par na jaye.
  • Yeh makaam hai Surah Fatiha ka.

Bismillah

  • Kuch log surah, Bismillah ko surah fatiha ka hissa samajhty hai aor kuch nai.

Hadith

  • Allah ne Surah Fatiha ko 3 hisso me Surah ko banta hai.
  • Gaaibana kalaam: Allah ki hamd, sana, tamjeed
  • Ibadad aor madad maangne ka izhar or ehad.
  • Hidayat ki talabt: seedha rasta

Surah Notes

Gaaibana kalaam

  • Hamd: Tareef jama shukar.
  • Rab-ul-Aalameen: Tamaam jahano ka Maalik.
  • Rahman: Allah ki Rahmat ki josh wali siffat. (Samadar ji trah josheela, toofani kaifiyat)
  • Raheem: Allah ki Rahmat ki tasalsul wali siffat. (Dariya ki trah khamosh tasalsul)
  • Badle ke din ka Maalik
    • Hashar ke din hisab kitab lene wala.
    • Yani Wohi hai jo hisab kitab ka Maalik hai.
    • Tamjeed.
  • Allah kehta hai Mere bande Meri Hamd ki, Meri Sana ki, Meri Tamjeed ki.

Allah se khitab

  • Ibadat ka izhar aor ehad.
  • Madad ka izhar aor ehad.
  • Yeh Allah kehta hai: Yeh Mere or Mere bande ke darmiyan hai. Aor Mene dia jo us ne manga.

Hidayat ki dua

  • Sirat-al-Mustaqeem: Seedha rasta jo kamyabi ki taraf le jata hai.
  • Hamein seedhe rasty ki hidayat farma. Aameen.
  • Sahi rasta
    • Unka rasta jin par Allah ne naimat ki hai. Yeh rasta in 4 logon ka hai:
      • Nabi
      • Siddiqeen
      • Shuhada
      • Saleheen
  • Galat rasta
    • Maghdoob Alaihum: Jin par Allah ne ghazab kiya hai.
      • Yeh unka rasta hai jo Allah ki hidayat pa kar phr sarkash ho gye.
      • Apni takabar ki wajha se, hasad ki wajha se.
      • In ki misal Yahoodio jesi hai.
      • Generally koi b ho sakta: Allah hamein in logo me se hony se bachaye. Aameen.
    • Wa-lla-dhua-leen: Jo bhatke howe hain.
      • Yeh wo log hain jo intentially or unintentially apne ibaadat me ja kr bhataq gaye hai.
      • Talash-e-haq me batak jany waly.
      • Inki mislaal, Isaiyo jesi hai, jo Hazrat Essa RA ki muhbbat me aagy chal kr Nauzubillah, unko Allah ka beta bana bethy.
      • Generally koi b ho sakta: Allah hamein in logo me se hony se bachaye. Aameen.
  • Allah kehta hai yeh 3 ayahs Mere bande ke liye hai, aor Mene diya usko jo us ne manga.